Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

zamiin-o-aasmaan kyaa 'arsh tak un kii rasaa.ii hai

Abdul Hadi Kavish

MORE BYAbdul Hadi Kavish

    zamiin-o-aasmaan kyaa 'arsh tak un kii rasaa.ii hai

    mohammad mustafaa kii shaan bhii shaan-e-KHudaa.ii hai

    kahaa ruu-e-munavvar dekh kar ahl-e-basiirat ne

    hijaab-e-miim me.n allaah kii jalva-numaa.ii hai

    tabassum se numaayaa.n hai jamaal-e-KHaaliq-e-akbar

    nigaaho.n se magar zaahir jalaal-e-kibriyaa.ii hai

    mohammad sirr-e-qudrat hai.n mohammad raaz-e-vahdat hai.n

    KHudaa shaidaa hai KHud un kaa fidaa saarii KHudaa.ii hai

    tavaaf dil me.n saare qudsiyaa.n masruuf hai.n aa kar

    mire dil me.n mohammad kii nazar tasviir aa.ii hai

    sar-e-mahshar shafii.a-ul-muznabii.n tashriif laate hai.n

    gunahgaaro.n KHataa-kaaro.n kii qismat jagmagaa.ii hai

    khi.nchaa jaataa hai dil siine se fart-e-shauq me.n 'kaavish'

    mohammad mustafaa ke naam me.n kyaa dilrubaa.ii hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now