allaah re ye rif’at-e-shaidaa-e-madiina
allaah re ye rif’at-e-shaidaa-e-madiina
hai.n jalva-figan siine me.n aaqaa-e-madiina
rag-rag se sadaa aatii hai ab salli-ala kii
qurbaan tere shiddat-e-saudaa-e-madiina
'aashiq hai KHudaa un kaa vo mahbuub-e-KHudaa hai.n
kyuu.n markaz-e-kaunain na kahlaa.e madiina
KHurshiid hai har zarra-e-na-chiiz yahaa.n kaa
sar-chashma-e-anvaar hai duniyaa-e-madiina
hasnain-o-'alii-o-faatima aur ahmad-e-muKHtaar
ye panjatan-e-paak hai.n gulhaa-e-madiina
miltaa hai KHudaa bhii to mohammad hii ke dar se
kyuu.n kar na ho har dil me.n tamnnaa-e-madiina
kyuu.n fikr ho 'kaavish' mujhe ab roz-e-jazaa kii
har lamha nigaaho.n me.n hai.n maulaa-e-madiina

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.