kamlii vaale mohammad ne jii par aisaa maaro hai tiir-e-najariyaa

Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
kamlii vaale mohammad ne jii par aisaa maaro hai tiir-e-najariyaa
ho ke ghaa.il mai.n ta.Dpuu.n sakhii rii jaise ta.Dpe hai jal bin machhariyaa
kyaa bataa.uu.n mai.n to ko sakhii rii is ta.Dapne me.n kitnaa maza hai
saamne hai vo nuuraanii mukh.Daa hosh mujh ko na apnii khabariyaa
hijr me.n kyuu.n ta.Daptii ya.nh hai tere dukh kii davaa to vahaa.n hai
chal sakhii more sa.ng tuu madiine kamlii vaale kii vaa.n hai aTariyaa
madiina kaa baa.nkaa nabii hai moko luuTaa hai jis ne yahii hai
ye manush-ruup me.n hai zamii.n par rahmato.n kii barastii badriyaa
jagmagaataa hai nuur-e-risaalat dekh maathe pe us ke sakhii rii
us ke jalvo.n me.n nuur-e-KHudaa.ii dekhe bhagto.n kii tiikhii najariyaa
ye hai suuraj to kirne.n hai.n us kii KHvaaja ajmerii KHvaaja qutub jii
shaah-e-fariid aur nizaam-e-auliyaa bhii sab usii ke hai.n jaan-e-jigariyaa
ai sakhii un ko apnaa banaa kar dekh hirdai me.n un ko biThaa kar
priit me.n un kii kitnaa maza hai un ke charno.n me.n amrit kaa dariyaa
kaun samjhegaa raaz-e-mohabbat ai sakhii us ke sadqe badaulat
shaah-e-taiba aa kar basaa.ii dil me.n 'kaavish' ke apnii nagariyaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.