Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sub.h-e-’irfaa.n kaa ujaalaa bazm-e-vahdat kaa charaaG

Abdul Hadi Kavish

MORE BYAbdul Hadi Kavish

    Interesting Fact

    منقبت درشان حضرت مولیٰ علی (نجف۔عراق)

    sub.h-e-’irfaa.n kaa ujaalaa bazm-e-vahdat kaa charaaG

    mus.haf-e-ruKH ma.arifat-e-tauhiid kaa shaadaab baaG

    ai shahanshaah-e-vilaayat ai imaam-ul-muttaqii.n

    terii chaukhaT hii se miltaa hai haqiiqat kaa suraaG

    rahbarii hai kaam teraa ai imaam-e-saalikaa.n

    kaam thaa auro.n kaa maulaa sirf tabliiG-o-balaaG

    bazm-e-kun me.n khel ulfat kaa rachaa kar KHud banaa

    'ishq kaa be-taab dil aur husn kaa uu.nchaa dimaaG

    aaj bhii bulbul chahak kar kah rahaa hai yaa 'alii

    ’aks teraa hii dikhaataa hai hame.n ye dil kaa daaG

    jo bhii apnaa haal ho 'kaavish' hame.n kuchh Gam nahii.n

    pii chuke hai.n baada-e-hubb-e-alii kaa ham ayaaG

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now