jab tak mere dahan me.n ilaahii zabaa.n rahe

jaarii labo.n pe sher-e-KHudaa kaa bayaa.n rahe
'aashiq the mustafaa ke rahe saath me.n 'alii
gar jism the 'alii to nabii un kii jaa.n rahe
marhab ko Tuk.De Tuk.De kiyaa zulfiqaar se
KHaibar kii fatah kaa 'alii lekar nishaa.n rahe
Thahrii hamaarii hasti-e-’adam kuchh nahii.n hai.n ham
'kaavish' KHudaa hii baaqii rahaa ham kahaa.n rahe

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.