Sufinama

duniyaa kii hai mujhe aarzuu na to maal-o-zar kii talaash hai

Maikash Warsi

duniyaa kii hai mujhe aarzuu na to maal-o-zar kii talaash hai

Maikash Warsi

MORE BYMaikash Warsi

    duniyaa kii hai mujhe aarzuu na to maal-o-zar kii talaash hai

    mujhe baa’d-e-marg bhii vaarisaa terii ik nazar kii talaash hai

    mere shaah vaaris-e-haq-numaa kahuu.n dil se kyuu.n na tujhe piyaa

    tuuhii apnaa haasil-e-zindagii tuuhii 'umr-bhar kii talaash hai

    tere dar pe zauq-e-sujuud ko milii hai vo lazzat-e-bandagii

    ki jabiin-e-shauq ko aaj tak usii sa.ng-e-dar kii talaash hai

    Source :
    • Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram (Pg. 118)
    • Author : Dr.Kabiruddin Khan Warsi
    • Publication : Eram Printers, Dariyapur,Patna, (2018)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now