ai shaah-e-zaman ai KHair-e-bashar bas ek nazar bas ek nazar

Abdul Hameed Sabri
MORE BYAbdul Hameed Sabri
ai shaah-e-zaman ai KHair-e-bashar bas ek nazar bas ek nazar
lillaah kare.n mujh 'aasii par bas ek nazar bas ek nazar
kuchh aur nahii.n darkaar mujhe darkaar hai.n bas sarkaar mujhe
hai lutf-o-'inaayat ke masdar bas ek nazar bas ek nazar
ma.ngtaa huu.n tere darbaar kaa mai.n pyaasaa huu.n tere diidaar kaa mai.n
jalvo.n se tirii hai diida-e-tar bas ek nazar bas ek nazar
sab apne paraa.e chhuuT ga.e sab rishte naate TuuT ga.e
ab jaa.uu.n to jaa.uu.n mai.n kis dar bas ek nazar bas ek nazar
ik chaak-e-garebaa.n diivaana-e-duniyaa se hu.aa hai begaana
kartaa hai guzaarish kHaak-e-bashar bas nazar bas ek nazar
sadqe me.n janaab-e-zahraa ke shafqat se bharii rahmat se bharii
farmaan-e-hamiid-e-'aajiz bas ek nazar bas ek nazar

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.