mohammad maalik-e-har-do-jahaa.n hai.n
mohammad maalik-e-har-do-jahaa.n hai.n
mohammad zeb baKHsh-e-’arshiyaa.n hai.n
bayaa.n ho.n vasf kyaa insaa.n se un kaa
mohammad ke maraatib laa-bayaa.n hai.n
chamakte hai.n ba-ra.ng-e-maah-o-akHtar
jigar me.n daaG-e-ulfat jo nihaa.n hai.n
ilaahii rauza-e-aqdas dikhaa de
yahii jumle mere vird-e-zabaa.n hai.n
gul-e-na.at-e-nabii phirte hai.n chunte
zamiin-e-she'r ke ham baaGbaa.n hai.n
gunahgaaro.n ko khaTkaa hashr kaa kyaa
mohammad jab shafii’-e-’aasiyaa.n hai.n
hayaat-e-jaavidaa.n hai un ko haasil
nabii ke 'ishq me.n jo niim-jaa.n hai.n
na hotaa kuchh jo ye paidaa na hote
mohammad baanii-e-kaun-o-makaa.n hai.n
maruu.n dar par shah-e-kaun-o-makaa.n ke
bhalaa 'mukHlis' nasiib aise kahaa.n hai.n
mohammad maalik-e-har-do-jahaa.n hai.n
mohammad zeb baKHsh-e-’arshiyaa.n hai.n
bayaa.n ho.n vasf kyaa insaa.n se un kaa
mohammad ke maraatib laa-bayaa.n hai.n
chamakte hai.n ba-ra.ng-e-maah-o-akHtar
jigar me.n daaG-e-ulfat jo nihaa.n hai.n
ilaahii rauza-e-aqdas dikhaa de
yahii jumle mere vird-e-zabaa.n hai.n
gul-e-na.at-e-nabii phirte hai.n chunte
zamiin-e-she'r ke ham baaGbaa.n hai.n
gunahgaaro.n ko khaTkaa hashr kaa kyaa
mohammad jab shafii’-e-’aasiyaa.n hai.n
hayaat-e-jaavidaa.n hai un ko haasil
nabii ke 'ishq me.n jo niim-jaa.n hai.n
na hotaa kuchh jo ye paidaa na hote
mohammad baanii-e-kaun-o-makaa.n hai.n
maruu.n dar par shah-e-kaun-o-makaa.n ke
bhalaa 'mukHlis' nasiib aise kahaa.n hai.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.