nahii.n jis ko mohabbat mustafaa kii
nahii.n jis ko mohabbat mustafaa kii
mudaam us par rahe la.anat KHudaa kii
unhii.n se ziinat-e-arz-o-samaa hai
unhii.n se zeb hai 'arsh-e-’ulaa kii
ye kalima har gha.Dii vird-e-zabaa.n hai
mohabbat de KHudaayaa mustafaa kii
yaqii.n jis ko na ho vo dekh le ab
sanad qur.aa.n hai us nuur-e-KHudaa kii
bilaa-shak hogaa vo jannat me.n daaKHil
likhegaa jo sanaa kHair-ul-varaa kii
sharaafat aur lataafat aur faziilat
KHudaa jaane hai shaah-e-ambiyaa kii
mohammad kii sifat hamd-e-KHudaa hai
'ajab hai shaan-e-ahmad mujtabaa kii
hu.aa maujuud kul 'aalam-e-’adam se
ye KHaatir hai mohammad mustafaa kii
vasiila se mohammad ke ai 'mukHlis'
hu.ii puurii jo kuchh mai.n ne du'aa kii
nahii.n jis ko mohabbat mustafaa kii
mudaam us par rahe la.anat KHudaa kii
unhii.n se ziinat-e-arz-o-samaa hai
unhii.n se zeb hai 'arsh-e-’ulaa kii
ye kalima har gha.Dii vird-e-zabaa.n hai
mohabbat de KHudaayaa mustafaa kii
yaqii.n jis ko na ho vo dekh le ab
sanad qur.aa.n hai us nuur-e-KHudaa kii
bilaa-shak hogaa vo jannat me.n daaKHil
likhegaa jo sanaa kHair-ul-varaa kii
sharaafat aur lataafat aur faziilat
KHudaa jaane hai shaah-e-ambiyaa kii
mohammad kii sifat hamd-e-KHudaa hai
'ajab hai shaan-e-ahmad mujtabaa kii
hu.aa maujuud kul 'aalam-e-’adam se
ye KHaatir hai mohammad mustafaa kii
vasiila se mohammad ke ai 'mukHlis'
hu.ii puurii jo kuchh mai.n ne du'aa kii
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.