kabhii dhartii se jaataa hai kabhii ambar se jaataa hai

Abdul Khaliq Danish
MORE BYAbdul Khaliq Danish
kabhii dhartii se jaataa hai kabhii ambar se jaataa hai
payaam-e-haq zamaane me.n har ik manzar se jaataa hai
falak par jagmagaate hai.n jo suuraj chaa.nd aur taare
ujaalaa darmiyaa.n un ke ruKH-e-anvar se jaataa hai
sa.nvar jaate hai.n dono.n chaahe duniyaa ho ki 'uqbaa ho
saliiqa diin kaa jab ruuh ke andar se jaataa hai
kiyaa karataa hai istiqbaal rizvaa.n aise momin kaa
ijaazat le ke jo bhii shaafa-e-mahshar se jaataa hai
salaamii ke liye aate hai.n us kii huur-o-Gilmaa.n sab
muqaddar jagmagaa kar jo nabii ke dar se jaataa hai
ye saabit ho gayaa me.araaj kii shab arsh-e-a.azam par
KHudaa ke ghar kaa rasta mustafaa ke ghar se jaataa hai
ko.ii mushkil nahii.n aatii phir us kii raah me.n 'daanish'
hamesha pa.Dh ke chaaro.n qul jo apne ghar se jaataa hai

- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 120)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.