dar-e-murshid se dil ke taar jab Takraane lagte hai.n

Abdul Khaliq Danish
MORE BYAbdul Khaliq Danish
dar-e-murshid se dil ke taar jab Takraane lagte hai.n
tasavvur me.n ziyaarat ke maze ham paane lagte hai.n
qadam-bosii ko jhuk jaatii hai.n nazre.n KHud-baKHud merii
muqaddas naqsh-paa-e-Gaus jab yaad aane lagte hai.n
bulaavaa aa.egaa ik din na ho maayuus tuu ai dil
yahii kah-kah ke apne dil ko ham bahlaane lagte hai.n
machal uThtaa hai dil be-saaKHta meraa bhii jaane ko
suu-e-baGdaad jab 'aashiq tumhaar jaane lagte hai.n
vasiila panjtan kaa jab bhii detaa huu.n du.aa.o.n me.n
hamaare ghar me.n KHushiyo.n ke khzaane aane lagte hai.n
mohabbat se 'aqiidat se shah-e-taiba kii nisbat se
jo dil aate hai.n dar pe Gaus ke nazraane lagte hai.n
KHayaal aate hii dil me.n rauza-e-sarkaar kaa 'daanish'
nigaaho.n me.n ummiido.n ke samar lahraane lagte hai.n

- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 121)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.