aisaa hu.aa na ko.ii bhii shaah-e-zaman ke ba.ad

Abdul Khaliq Danish
MORE BYAbdul Khaliq Danish
aisaa hu.aa na ko.ii bhii shaah-e-zaman ke ba.ad
aayaa ho lauT kar jo KHudaa se milan ke ba.ad
momin hai.n jitne KHuld kaa haqdaar hai.n sabhii
jannat milegii sab ko magar panjtan ke ba.ad
allaah kaa ’azaab kuchh aisaa ’azaab thaa
bach na sakaa yaziid hazaaro.n jatan ke ba.ad
mansuur ne ye saare jahaa.n ko bataa diyaa
ik aur zindagii bhii hai daar-o-rasan ke ba.ad
niklaa jo aastaa.n se tire ho ke kaamyaab
Thahraa na dil kahii.n bhii tirii anjuman ke ba.ad
'daanish' jahaa.n me.n faatih-e-KHaibar 'alii hu.e
paakar shifaa nabii ke lu’aab-e-dahan ke ba.ad

- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 131)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.