'arz itnii sii hai muKHtasar mustafaa
'arz itnii sii hai muKHtasar mustafaa
Daal diije karam kii nazar mustafaa
dil me.n jab se hu.e jalva-gar mustafaa
jagmagaane lagaa meraa ghar mustafaa
naaz jitnaa kare kam hai taqdiir par
kah de.n jis ko bhii apnaa agar mustafaa
u.D ke aa.uu.ngaa mai.n sabz-gumbad talak
ho.n 'ataa mujh ko bhii baal-o-par mustafaa
pal me.n haq se mile aur aa bhii ga.e
tai hu.aa kis se aisaa safar mustafaa
jis taraf dekhuu.n mai.n aap aa.e.n nazar
diijiye mujh ko aisii nazar mustafaa
kufr-o-zulmat ke chehro.n kaa ra.ng u.D gayaa
aap jab ho ga.e jalva-gar mustafaa
raushnii lene ko aaj bhii roz-o-shab
sadqe hote hai.n shams-o-qamar mustafaa
man ra.aanii se iimaan mohkam hu.aa
haq ko dekhaa tumhe.n dekh kar mustafaa
zulaf bikhrii to 'aalam me.n shab ho ga.ii
'aks-e-'aariz hai nuur-e-sahar mustafaa
vaasil-e-haq bhii hai.n shaamil-e-KHalq bhii
sab me.n hai.n aap al-muKHtasar mustafaa
'arsh par aap hai.n zaat kaa aa.iina
farsh par aap misl-e-bashar mustafaa
hosh aisaa 'ataa kiije ‘be-hosh’ ko
naa't pa.Dhtaa rahe 'umr-bhar mustafaa
'arz itnii sii hai muKHtasar mustafaa
Daal diije karam kii nazar mustafaa
dil me.n jab se hu.e jalva-gar mustafaa
jagmagaane lagaa meraa ghar mustafaa
naaz jitnaa kare kam hai taqdiir par
kah de.n jis ko bhii apnaa agar mustafaa
u.D ke aa.uu.ngaa mai.n sabz-gumbad talak
ho.n 'ataa mujh ko bhii baal-o-par mustafaa
pal me.n haq se mile aur aa bhii ga.e
tai hu.aa kis se aisaa safar mustafaa
jis taraf dekhuu.n mai.n aap aa.e.n nazar
diijiye mujh ko aisii nazar mustafaa
kufr-o-zulmat ke chehro.n kaa ra.ng u.D gayaa
aap jab ho ga.e jalva-gar mustafaa
raushnii lene ko aaj bhii roz-o-shab
sadqe hote hai.n shams-o-qamar mustafaa
man ra.aanii se iimaan mohkam hu.aa
haq ko dekhaa tumhe.n dekh kar mustafaa
zulaf bikhrii to 'aalam me.n shab ho ga.ii
'aks-e-'aariz hai nuur-e-sahar mustafaa
vaasil-e-haq bhii hai.n shaamil-e-KHalq bhii
sab me.n hai.n aap al-muKHtasar mustafaa
'arsh par aap hai.n zaat kaa aa.iina
farsh par aap misl-e-bashar mustafaa
hosh aisaa 'ataa kiije ‘be-hosh’ ko
naa't pa.Dhtaa rahe 'umr-bhar mustafaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.