bahut pareshaa.n tumhaaraa ma.ngtaa shakuur baabaa

Rafeeq Alam Damohi
MORE BYRafeeq Alam Damohi
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت بابا شکور
bahut pareshaa.n tumhaaraa ma.ngtaa shakuur baabaa
dikhaa.o apne karam kaa jalva shakuur baabaa
hamaare dard-e-dil-shikasta kaa kaun hai ab
na ko.ii chaara tumhii.n mudaavaa shakuur baabaa
Gamo.n kaa suuraj bhii baal bekaa na kare sakegaa
ho jis ke sar par tumhaaraa saaya shakuur baabaa
hamaarii hastii me.n ho.n tumhaarii du'aa.e.n shaamil
buland qismat kaa ho sitaara shakuur baabaa
KHayaal jab se tumhaaraa aayaa hamaare dil me.n
chamak rahaa hai Gariib-KHaana shakuur baabaa
chamak rahaa hai chamak rahaa hai chamak rahaa hai
'alii kii nisbat se dar tumhaaraa shakuur baabaa
bahut dino.n se bhaTak rahaa hai 'rafiiq' 'aalam
dikhaa.o us ko bhii nek rasta shakuur baabaa

- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 260)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.