aaj pahluu me.n vo be-piir hai allaah allaah

Abdul Raheem Kunjpuri
MORE BYAbdul Raheem Kunjpuri
aaj pahluu me.n vo be-piir hai allaah allaah
auj par kyaa mirii taqdiir hai allaah allaah
baato.n baato.n me.n kiyaa hai dil-e-'aalam tasKHiir
sahr kii kyaa tirii taqriir hai allaah allaah
ko.ii monis nahii.n furqat me.n ilaahii tauba
mai.n huu.n aur naala-e-shab-giir hai allaah allaah
jalva-e-ruKH vo dikhaate hai.n nahaa kar zulfe.n
dil pha.nsaane kii ye tadbiir hai allaah allaah
Gam-zada dekh mujhe Gair kahte hai.n 'rahiim'
is ko bas ulfat-e-shabbiir hai allaah allaah

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.