aa.nkho.n me.n bas gayaa hai madiina huzuur kaa

Abdul Sattar Niazi
MORE BYAbdul Sattar Niazi
aa.nkho.n me.n bas gayaa hai madiina huzuur kaa
be-kas kaa aasraa hai madiina huzuur kaa
phir jaa rahe hai.n ahl-e-mohabbat ke qaafile
phir yaad aa rahaa hai madiina huzuur kaa
taskiin-e-jaa.n hai raahat-e-dil vaj.h-e-imbisaat
har dard kii davaa hai madiina huzuur kaa
nabiyo.n me.n jaise afzal-o-’aalaa hai.n mustafaa
shahro.n me.n baadshaah hai madiina huzuur kaa
hai ra.ng-e-nuur jis ne diyaa do-jahaan ko
vo nuur kaa diyaa hai madiina huzuur kaa
jab se qadam pa.De hai.n risaalat ma.aab ke
jannat banaa hu.aa hai madiina huzuur kaa
qudsii bhii chuumte hai.n adab se yahaa.n kii KHaak
qismat pe jhuumtaa hai madiina huzuur kaa
har zarra-zarra apnii jagah maahtaab hai
kyaa jagmagaa rahaa hai madiina huzuur kaa
ho naaz kyuu.n na us ko 'niyaazii' nasiib par
jis ko bhii mil gayaa hai madiina huzuur kaa

- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.