karam kii baadal baras rahe hai.n dilo.n kii khetii harii-bharii hai

ye kaun aayaa ki zikr jis kaa nagar-nagar hai galii-galii hai
ye kaun ban kar qaraar aayaa ye kaun jaan-e-bahaar aayaa
gulo.n ke chehre hai.n nikhre-nikhre kalii-kalii me.n shaguftagii hai
diye dilo.n ke jalaa.e rakhnaa nabii kii mahfil sajaa.e rakhnaa
jo raahat-e-dil sukuun-e-jaa.n hai vo zikr zikr-e-mohammadii hai
jo gaaliyaa.n sun ke dii.n du.aa.e.n buro.n ko apne gale lagaa.e.n
saraapaa lutf-o-karam jo Thahrii vo mere aaqaa kii zindagii hai
nabii ko apnaa KHudaa na maano KHudaa ko un se judaa na jaano
hai ahl-e-iimaa.n kaa ye ’aqiida KHudaa KHudaa hai nabii nabii hai
mai.n apnii qismat pe kyuu.n na jhuumuu.n mai.n kyuu.n na valiyo.n ke dar ko chuumuu.n
mai.n naam-levaa huu.n mustafaa kaa KHudaa ke bando.n se dostii hai
hai dosh par jin ke kamlii kaalii vahii to hai.n do-jahaa.n ke vaalii
ko.ii savaalii na bhejaa KHaalii ye baat mere kariim kii hai
nabii kaa har jaa zuhuur kahiye haa.n kahiye kahiye zaruur kahiye
unhe.n minallaah nuur kahiye ye chaar suu jin kii raushnii hai
na maa.ngo duniyaa ke tum KHaziine chalo 'niyaazii' chale.n madiine
ki baadshaahii se ba.Dh ke pyaare nabii ke dar kii gadaagarii hai

- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 24)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.