mahfil me.n mohammad kii 'ataa maa.ng ke jaanaa

Abdul Sattar Niazi
MORE BYAbdul Sattar Niazi
mahfil me.n mohammad kii 'ataa maa.ng ke jaanaa
aa.e ho to 'isyaa.n kii davaa maa.ng ke jaanaa
imaan-o-mohabbat ke mahak jaa.e.nge gulshan
sarkaar ke kuuche kii havaa maa.ng ke jaanaa
kaliyo.n ne bhii phuulo.n ne bhii phailaa.e hai.n daaman
kuchh apne liye bhii to sabaa maa.ng ke jaanaa
ta.Dpaa.egii mahshar ba.Dii garmii-e-mahshar
apne liye rahmat kii ghaTaa maa.ng ke jaanaa
aa jaa.e jise sun ke mohammad kii savaarii
vo dard-bharii aaj sadaa maa.ng ke jaanaa
ai chashm-e-gunahgaar bahaa ashk-e-nadaamat
tuu husn-e-shafaa’at kii razaa maa.ng ke jaanaa
vo jiinaa bhii kyaa jiinaa jo bin-yaar ho jiinaa
mahbuub kii chaukhaT pe qazaa maa.ng ke jaanaa
ham aa.e.n madiina me.n kabhii shaah-e-madiina
bhiigii hu.ii palko.n se du'aa maa.ng ke jaanaa
mahbuub-e-KHudaa servar-e-a.alam ke vasiile
ai ’aasiyo tum fazl-e-KHudaa maa.ng ke jaanaa
taariikii-e-shab nuur ke saa.nche me.n Dhalii ho
husn shah-e-vaalaa kii ziyaa maa.ng ke jaanaa
ye mahfil-e-sarkaar-e-do-'aalam hai 'niyaazii'
ho KHaatima-bil-KHair du'aa maa.ng ke jaanaa

- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.