guzrii jidhar-jidhar se savaarii huzuur kii

thii kaifiyat vahii.n-vahii.n kaif-o-suruur kii
raushan hai.n jo falak pe sitaaro.n ke qumqume
phailii hu.ii hai raushnii aaqaa ke nuur kii
jalva-figan hai.n rauza-e-at.har kii oT me.n
lekin KHabar vo rakhte hai.n nazdiik-o-duur kii
hai zikr kyaa chhi.Daa mere aaqaa ke nuur kaa
nuuraaniyat me.n Dhal ga.ii mahfil huzuur kii
rahmat kii bhiik doge bas itnii sii aas par
Daalii sajaa ke laayaa huu.n jurm-o-qusuur kii
allaah re ye ’azmat-e-darbaar-e-mustafaa
gardan jhukii hu.ii hai har ik baa-shu.uur kii
jo bhii kisii ne maa.ngaa 'niyaazii' huzuur se
husn-e-talab kariim ne puurii zaruur kii

- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.