ik roz hogaa jaanaa sarkaar kii galii me.n

hogaa kabhii Thikaana sarkaar kii galii me.n
aa.nKHe.n to dekhne ko pahle hii muztarib thii.n
dil bhii hu.aa ravaana sarkaar kii galii me.n
go paas kuchh nahii.n hai lekin ye dekh legaa
ik din mujhe zamaana sarkaar kii galii me.n
kabhii ho hasii.n tasavvur kabhii KHud me.n jaa.uu.n chal kar
kahii.n yuu.nhii aanaa jaanaa sarkaar kii galii me.n
hai.n kahii.n KHizaa.n ke pahre kahii.n do gha.Dii bahaare.n
mausam sadaa suhaanaa sarkaar kii galii me.n
dil me.n nabii kii yaade.n lab par nabii kii na.ate.n
jaanaa to aise jaanaa sarkaar kii galii me.n
yahii rasm-e-’aashiqii hai yahii jaan-e-bandagii hai
sar rakh ke na uThaanaa sarkaar kii galii me.n
samjhe.nge ham 'niyaazii' un kii karam-navaazii
jis din hu.e ravaana sarkaar kii galii me.n

- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.