rahmato.n vaale nabii kHair-ul-varaa kaa tazkira

Abdul Sattar Niazi
MORE BYAbdul Sattar Niazi
rahmato.n vaale nabii kHair-ul-varaa kaa tazkira
kiijiye har vaqt mahbuub-e-KHudaa kaa tazkira
mushkile.n aa.e.n to aa.e.n paas mere kis tarah
mere lab par hai mire mushkil-kushaa kaa tazkira
bhejtaa huu.n mai.n daruudo.n kii sajaa-kar Daaliyaa.n
roz hotaa hai mire ghar mustafaa kaa tazkira
mere dil ke goshe-goshe me.n ujaalaa ho gayaa
kar rahaa thaa mai.n abhii shamsuzzuhaa kaa tazkira
ko.ii gar chaahe ki ho mujh par fuzuu.n fazl-e-KHudaa
vo kare har dam habiib-e-kibriyaa kaa tazkira
kaun hai jis ke nahii.n kashkol me.n daataa kii bhiik
ho rahaa hai har jagah terii saKHaa kaa tazkira
rahmato.n ke phuul barse sub.h tak ghar me.n mire
raat bha hotaa rahaa un kii 'ataa kaa tazkira
khil uThe gulshan ummiido.n ke hu.aa dil baaG-baaG
jab kiyaa mai.n ne madiine kii havaa kaa tazkira
na.at sun kar ho na braham be-KHabar qur.aan pa.Dh
KHud KHudaa karataa hai apne mustafaa kaa tazkira
phir 'niyaazii' kii bhii ho jaaye madiine haazirii
dosto karnaa nabii se yuu.n mohammad kaa tazkira

- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 57)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.