yaa nabii ham par 'inaayat kiijiye
yaa nabii ham par 'inaayat kiijiye
is taraf bhii chashm-e-rahmat kiijiye
aap hii to hai.n mire sab kuchh huzuur
kiijiye merii shafaa’at kiijiye
haazirii hotii rahe darbaar me.n
merii aisii achchhii qismat kiijiye
jaan hai.n iimaan kii ye dosto
kamlii vaale se mohabbat kiijiye
ban ke un ke aastaane ke gadaa
saarii duniyaa par hukuumat kiijiye
josh par dariyaa-e-rahmat aa.egaa
dam-badam zikr-e-risaalat kiijiye
bhuul jaa.oge nashe duniyaa ke tum
un ke mai-KHvaaro.n kii sa.ngat kiijiye
chaahte ho gar 'niyaazii' fazl-e-rab
raat-din aaqaa kii mid.hat kiijiye
yaa nabii ham par 'inaayat kiijiye
is taraf bhii chashm-e-rahmat kiijiye
aap hii to hai.n mire sab kuchh huzuur
kiijiye merii shafaa’at kiijiye
haazirii hotii rahe darbaar me.n
merii aisii achchhii qismat kiijiye
jaan hai.n iimaan kii ye dosto
kamlii vaale se mohabbat kiijiye
ban ke un ke aastaane ke gadaa
saarii duniyaa par hukuumat kiijiye
josh par dariyaa-e-rahmat aa.egaa
dam-badam zikr-e-risaalat kiijiye
bhuul jaa.oge nashe duniyaa ke tum
un ke mai-KHvaaro.n kii sa.ngat kiijiye
chaahte ho gar 'niyaazii' fazl-e-rab
raat-din aaqaa kii mid.hat kiijiye
- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.