allaah Ganii kaisii vo pur-kaif gha.Dii thii

jab saamne nazro.n ke madiine kii galii thii
nazro.n se liye bose kabhii ho.nTo.n se chuumaa
us shahar kii har chiiz mujhe KHuub lagii thii
laj-paalo.n ke laj-paal kii chaukhaT pe kha.Daa thaa
qismat mirii us dar pe kha.Dii jhuum rahii thii
us na.at-e-muqaddas pe har ik naGma tasadduq
hassaan ne jo na.at madiine me.n pa.Dhii thii
kaifiyat-e-dil kaise bataa.uu.n tumhe.n logo
jab pahlii nazar gumbad-e-kHazraa pe pa.Dii thii
mujrim thaa kha.Daa sar ko jhukaa.e hu.e dar par
aa.nsuu the ravaa.n aise ki saavan kii jha.Dii thii
us shahar ke zarre the chamakte hu.e taare
har chiiz vahaa.n nuur ke saa.nche me.n Dhalii thii
le Duubte a.amaal mire mujh ko 'niyaazii'
jaa pahu.nchaa madiine mirii taqdiir bhalii thii

- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.