Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

un logo.n kii qismat ke taabinda sitaare hai.n

Abdul Sattar Niazi

MORE BYAbdul Sattar Niazi

    un logo.n kii qismat ke taabinda sitaare hai.n

    jin logo.n ne taiba me.n din chaar guzaare hai.n

    pur-nuur fazaa.e.n hai.n pur-kaif havaa.e.n hai.n

    kyaa baat madiine kii kyaa KHuub nazaare hai.n

    naazaa.n hai.n muqaddar par baiThe hai.n saKHii dar par

    dekhe to ko.ii aakar kyaa bhaag hamaare hai.n

    hote hai.n nichhaavar vaa.n nazraane daruudo.n ke

    sarkaar kii chaukhaT ke kyaa KHuub nazaare hai.n

    vo pyaar kare.n dil se sarkaar ke pyaaro.n se

    allaah ke pyaare ko vo jaan se pyaare hai.n

    jab yaad karuu.n un ko imdaad ko aate hai.n

    maa.il ba-karam har dam mahbuub hamaare hai.n

    sarkaar ke sadqe me.n har chiiz milii ham ko

    allaah ke aage jab ye haath pasaare hai.n

    laj-paal nabii sarvar ho chashm-e-karam ham par

    tuufaan me.n nayyaa hai aur duur kinaare hai.n

    un logo.n ke daaman ko har vaqt bhare rakhnaa

    tire naam pe nazraane jin logo.n ne vaare hai.n

    big.Daa hai na big.Degaa kuchh meraa zamaane me.n

    mujh ko mere aaqaa kii rahmat ke sahaare hai.n

    jo dil se sajaate hai.n naa'to.n kii hasii.n mahfil

    allaah ne din un kii qismat ke sa.nvaare hai.n

    jaa.uu.ngaa 'niyaazii' mai.n phir shahr-e-madiina me.n

    is aas pe din mai.n ne ro-ro ke guzaare hai.n

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 67)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now