Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hariim-e-quds ke parde uThaa diye tum ne

Kaif Allahabadi

MORE BYKaif Allahabadi

    hariim-e-quds ke parde uThaa diye tum ne

    jo raaz-e-haq the hame.n vo bataa diye tum ne

    zulaal-e-tauba ne daaG-e-gunah ko saaf kiyaa

    siyah-quluub jo the jagmagaa diye tum ne

    kabhii jo khul na sake the kisii se 'aalam me.n

    vo raaz-haa-e-haqiiqat bataa diye tum ne

    zamaane bhar me.n uKHuvvat kii lahar dau.D ga.ii

    vo saaz-haa-e-mohabbat bajaa diye tum ne

    phir un dilo.n me.n jamii gard ma'iisat na kabhii

    jo aab-r-rahmat-e-haq se dhulaa diye tum ne

    jo le ke jaa.e.nge insaa.n ko suu-e-kHuld-e-barii.n

    vo zindagii ke namuune dikhaa diye tum ne

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 233)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now