kis ne paidaa kiye saat-saat aasmaa.n
kis ne paidaa kiye saat-saat aasmaa.n
aur kis ne banaayaa ye saaraa jahaa.n
kis ne jannat me.n nahre.n banaa.ii.n vahaa.n
aur kis ne bahaa.ii.n yahaa.n naddiyaa.n
ek allaah ne ek allaah ne
kis ne paidaa kiye hai.n ye shams-o-qamar
aur kis ne banaa.e ye shaam-o-sahar
kis ne paidaa kiye naunihaal aur shajar
aur kis ne khilaa.e ye gul-haa-e-tar
ek allaah ne ek allaah ne
ko.ii KHaaliq hai us ke sivaa aur bhii
kyaa yahaa.n aur vahaa.n hai KHudaa aur bhii
hai kahii.n ko.ii haajat-ravaa aur bhii
hai ko.ii dard dukh kii davaa aur bhii
ek allaah hai ek allaah hai
KHalq karke hu.aa arsh par mustavii
iKHtiyaar us kaa har shai ko hai muhtavii
us kii qudrat se baahar nahii.n hai ko.ii
sab ke sab zaar-o-'aajiz hai.n lekin qavii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.