Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tauhiid kaa naGma hai taqriir mohammad kii

Abdul Rab Sufi

MORE BYAbdul Rab Sufi

    tauhiid kaa naGma hai taqriir mohammad kii

    sajda kii nishaanii hai tahriir mohammad kii

    saaya bhii na pa.Dtaa thaa tasviir to kyaa khi.nchtii

    khi.nchii hai faqat dil me.n tasviir mohammad kii

    buu-bakr-o-'omer kyaa hai.n 'usmaan-o-'alii kyaa hai.n

    yaaraan-e-mohammad hai.n taasiir mohammad kii

    kuchh phuul me.n kaliyo.n me.n kuchh chaa.nd me.n taaro.n me.n

    kuchh dil me.n jhalaktii hai tasviir mohammad kii

    apno.n ko mohabbat me.n kuchh suujh nahii.n pa.Dtaa

    Gairo.n se ko.ii puuchhe tauqiir mohammad kii

    itnaa to yaqiinii hai phir aur KHudaa jaane

    takviin-e-do-'aalam hai tafsiir mohammad kii

    ham 'ishq ke bande hai.n ham ko hai yahii hairat

    kaise ko.ii karataa hai taqsiir mohammad kii

    taqdiir banaanii hai 'suufii' to itaa.at kar

    vallaah Gulaamii hai iksiir mohammad kii

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now