hamaare nabii chaa.nd hai.n chaudhvii.n kaa
hamaare nabii chaa.nd hai.n chaudhvii.n kaa
ye saaraa ujaalaa hai jalva unhii.n kaa
nabii ke sahaaba hai.n raushan sitaare
daraKHshaa.n hu.aa raasta jin se dii.n kaa
hai.n buu-bakr pahle KHaliifa nabii ke
sahaaba me.n rutba hai a.alaa unhii.n kaa
hai.n faaruuq-e-aa'zam kii shaan-e-niraalii
ba.Dhaayaa sitaaro.n se rutba zamii.n kaa
hayaa me.n nahii.n ko.ii 'usmaa.n se ba.Dh kar
farishto.n ko hai paas us sharmgii.n kaa
'alii ko kiyaa raah-e-masjid me.n ghaa.il
jo daa.Dhii hai ra.ngii.n lahuu hai jabii.n kaa
abuu-bakr-o-faaruuq-o-'usmaan-o-haidar
ye chaaro.n hai.n naqsha rasuul-e-amii.n kaa
yahii paa.nch islaam ke panjtan hai.n
ki haq kii kasauTii hai usva inhii.n kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.