dekhii jo fazaa-e-kuu-e-nabii jannat kaa Thikaana bhuul ga.e

Aabid Barelvi
MORE BYAabid Barelvi
dekhii jo fazaa-e-kuu-e-nabii jannat kaa Thikaana bhuul ga.e
sarkaar kaa rauza yaad rahaa duniyaa kaa fasaana bhuul ga.e
sarkaar-e-do-'aalam ke dar par jis vaqt pa.Dii be-taab nazar
aaqaa kii sanaa lab par aa.ii har ek taraana bhuul ga.e
jab pahu.nche muvaajaha par un ke ik kaif me.n aisaa Duub ga.e
jo haal sunaanaa thaa un ko vo haal sunaanaa bhuul ga.e
ai dost bataa.e.n kyaa tujh ko aaqaa ke nagar kii ra.anaa.ii
ham dekh kar shahar-e-salle-’alaa har shahar suhaana bhuul ga.e
aaqaa-e-do-'aalam ke dar pe ik aisaa bhii a.alam guzraa hai
aane kaa zamaana yaad rahaa jaane kaa zamaana bhuul ga.e
aaqaa kii ’ataa.o.n kaa 'aalam kis tarah bayaa.n ho lafzo.n me.n
aaqaa kii ’ataa.e.n dekh ke ham duniyaa kaa KHazaana bhuul ga.e
ham pahu.nche salaamii ko jis dam darbaar-e-risaalat me.n 'aabid'
sab ashk-e-nadaamat bah nikle 'isyaa.n ko chhupaanaa bhuul ga.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.