Font by Mehr Nastaliq Web

ai sharaab-e-'ishq teraa falsafa kuchh aur hai

Abid Nazar

Interesting Fact

منقبت درشان حضرت مولیٰ علی (نجف-عراق)

ai sharaab-e-'ishq teraa falsafa kuchh aur hai

KHum ke mimbar par 'alii kaa martaba kuchh aur hai

jis jagah dekho unhe.n saabit-qadam hii paa.oge

ye KHudaa-e-lam-yazal kaa aa.iina kuchh aur hai

aap hai.n mauluud-e-ka.aba aap hai.n jaan-e-rasuul

sahn-e-ka.aba se jo phailii vo ziyaa kuchh aur hai

is liye ham gaamzan raah-e-’alii par ho ga.e

hai.n fanaa ye do jahaa.n raah baqaa kuchh aur hai

dekh kar shaan-e-'alii duniyaa ko ye kahnaa pa.Daa

aaj bhii KHaibar ta.Dap kar kah rahaa hai ai 'nazar'

taaqat-e-sher-e-KHudaa mushkil-kushaa kuchh aur hai

Source :
  • Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 255)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now