sabaa madiine me.n le chal kisii bahaane se

hamaarii KHaak to lag jaa.egii Thikaane se
ye 'azm le ke chalaa huu.n Gariib-KHaane se
jhukaa.uu.n sar ko uThaa.uu.n na aastaane se
tumhaare fazl-o-karam kii panaah me.n aakar
qadam-qadam pe me.n Takraa gayaa zamaane se
hazaar pech-o-KHam karbalaa se guzraa huu.n
yaziid ban ke jo uTThaa ko.ii zamaane se
har ek afsaane ke 'unvaan ban ga.e hai.n vo
unhii kii baat nikaltii hai har fasaane se
husain bin-e-'alii ne bataa diyaa ham ko
faroG miltaa hai ummat ko sar kaTaane se
use to ahl-e-mohabbat hii jaante hai.n 'vafaa'
hamaare sar ko jo nisbat hai aastaane se

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.