mustafaa kii shaan se aagaah kyaa hogaa bashar

Afzal Hussain Asdaqi
MORE BYAfzal Hussain Asdaqi
mustafaa kii shaan se aagaah kyaa hogaa bashar
haa.n magar itnaa ki jiine kii use hogii KHabar
'aql ko hogii rasaa.ii kyaa nabii ke shaan kii
putla-e-kHaakii me.n ye hai bando.n se baalaa-e-tar
avvaliin-o-aakHirii.n paiGambaro.n kaa 'ilm thaa
'ilm-ul-insaan se zaahir yahii hai beshtar
'ilm hai siine me.n jo aadam safii.ullaah ke
siine me.n vo aap ke naazil hu.aa baar-e-digar
jin ko farmaayaa KHudaa ne iq.raa-bi-isme-rabbika
KHaas hai taa’liim-e-haq ko aap kii madd-e-nazar
jis ko ho taa’liim-e-haq kyuu.n kar nahii.n kaamil vo ho
kaamilo.n se bhii mukammal aur sab se KHuub-tar
pa.Dh faqiir is shaah par tuu assalaatu-vassalaam
har-gha.Dii har-aan jitnaa ho sake shaam-o-sahar

- Book : Diwan-e-Afzal (Pg. 26)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.