agar chaaho KHudaa kii rahmato.n se vaasta rakhnaa

Saleem Dard Warsi
MORE BYSaleem Dard Warsi
agar chaaho KHudaa kii rahmato.n se vaasta rakhnaa
to har lamha labo.n par apne zikr-e-mustafaa rakhnaa
ba-roz-e-hashr baKHshish ke liye itnaa zaruurii hai
duruud-e-paak ho.nTo.n par sadaa apne sajaa rakhnaa
mai.n aisii be-KHudii ko hosh se behtar samajhtaa huu.n
ki yaad-e-mustafaa me.n dono.n-aalam ko bhulaa rakhnaa
mai.n diivaana tumhaaraa KHud ko kahtaa huu.n zamaane me.n
KHayaal is be-adab kaa bhii qayaamat me.n zaraa rakhnaa
vo jin ke ishq me.n marnaa bhii sau jiine kaa jiinaa hai
unhii ke ishq me.n tum apnii hastii ko fanaa rakhnaa
sharaf haasil hai mujh ko un ke rauze kii huzuurii kaa
ummiid-e-gulshan-e-firdaus dil me.n 'dard' kyaa rakhnaa

- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 241)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.