ahad KHud ahmad kii shakl ban kar jo apnii suurat ko tak rahaa hai

Aashiq Hyderabadi
MORE BYAashiq Hyderabadi
ahad KHud ahmad kii shakl ban kar jo apnii suurat ko tak rahaa hai
hamesha zaat-e-KHudaa ke aage vujuud-e-banda kaa aa.iina hai
sifaat-o-asmaa-e-zaat-e-mutlaq kii jaami'iyyat hai shaan us kii
jo man-ra.aanii sunaa rahaa hai kalaam us kaa KHudaa-numaa hai
hai abad rab kii jo ek hastii zuhuur us me.n hai be-cheguu.n kaa
KHudii se apnii nikal ke dekho KHudaa se banda kahaa.n judaa hai
fanaa mohammad me.n ho ke dekho zuhuur-e-haq hai haqiiqat us kii
nahii.n hai vahdat me.n kuchh du.ii ab vujuud aalam me.n ek kaa hai
hu.ii hai isbaat zaat allaah to nafii apnii ye kahtii hai KHud
jahaa.n hai saaraa KHudaa kaa jalva kahaa.n zuhuur apnaa maa-sivaa hai
KHudaa kaa har dam mu.aa.ina hai ta'ayyun apnaa nazar karo tum
na laa ta'ayyun me.n diid hai kuchh vahaa.n pe be-chuu.n-o-be-charaa hai
pa.Daa jab aa.nkho.n me.n 'aks haq kaa bane hai.n diide mire muraqqa.a
nazar karo merii putliyo.n me.n KHudaa kaa chehraa samaa gayaa hai
suKHan haqaayaq ke kyuu.n na nikle.n zabaan ko har fashaa.n se us kii
mu'iin-e-diin ne hii apne 'aashiq' ko us kaa goyaa banaa diyaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.