Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sab se aulaa-o-'aalaa hamaaraa nabii

Ahmad Raza Khan

sab se aulaa-o-'aalaa hamaaraa nabii

Ahmad Raza Khan

MORE BYAhmad Raza Khan

    sab se aulaa-o-'aalaa hamaaraa nabii

    sab se baalaa-o-vaalaa hamaaraa nabii

    apne maulaa kaa pyaaraa hamaar nabii

    dono.n aalam kaa duulhaa hamaaraa nabii

    bazm-e-aaKHir kaa sham.a farozaa.n hu.aa

    nuur-e-avval kaa jalva hamaaraa nabii

    jis ko shaayaa.n hai ’arsh-e-KHudaa par juluus

    hai vo sultaan-e-vaalaa hamaaraa nabii

    bujh ga.ii.n jis ke aage sabhii mish.ale.n

    sham.a vo lekar aayaa hamaaraa nabii

    jin ke talvo.n kaa dhovan hai aab-e-hayaat

    hai vo jaan-e-masiihaa hamaaraa nabii

    arsh-o-kursii kii thii.n aa.iina-bandiyaa.n

    suu-e-haq jab sidhaaraa hamaaraa nabii

    KHalq se auliyaa auliyaa se rusul

    aur rasuulo.n se a.alaa hamaaraa nabii

    husn khaataa hai jis ke namak kii qasam

    vo maliih-e-dil-aaraa hamaaraa nabii

    zikr sab phiike jab tak na mazkuur ho

    namkii.n husn vaalaa hamaaraa nabii

    jis kii do buu.nd hai.n kausar-o-salsabiil

    hai vo rahmat kaa dariyaa hamaaraa nabii

    jaise sab kaa KHudaa ek hai vaise hii

    in kaa un kaa tumhaaraa hamaaraa nabii

    qarno.n badlii rasuulo.n kii hotii rahii

    chaa.nd badlii kaa niklaa hamaaraa nabii

    kaun detaa hai dene ko mu.nh chaahiye

    dene vaalaa hai sachchaa hamaaraa nabii

    kyaa KHabar kitne taare khile chhup ga.e

    par na Duube na Duubaa hamaaraa nabii

    mulk-e-kaunain me.n ambiyaa taajdaar

    taajdaaro.n kaa aaqaa hamaaraa nabii

    laa-makaa.n tak ujaalaa hai jis kaa vo hai

    har makaa.n kaa ujaalaa hamaaraa nabii

    saare achchho.n se achchhaa samjhiye jise

    hai us achchhe se achchhaa hamaaraa nabii

    saare uu.ncho.n se uu.nchaa samjhiye jise

    hai us uu.nche se uu.nchaa hamaaraa nabii

    ambiyaa se karuu.n arz kyuu.n maaliko

    kyaa nabii hai tumhaaraa hamaaraa nabii

    jis ne Tuk.De ka.e hai.n qamar ke vo hai

    nuur-e-vahdat kaa Tuk.Daa hamaaraa nabii

    sab chamak vaale ujlo.n me.n chamkaa kiye

    andhe shiisho.n me.n chamkaa hamaaraa nabii

    jis ne murda-dilo.n ko dii ’umr-e-abad

    hai vo jaan-e-masiihaa hamaaraa nabii

    Gamzado.n ko 'razaa' muzda diije ki hai

    bekaso.n kaa sahaaraa hamaaraa nabii

    Source :
    • Book : Hadaeq-e-Bakhshish (Pg. 57)
    • Author : Aala Hazrat Maulana Ahmad Raza Khan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now