KHaak-e-madiina hotii mai.n KHaaksaar hotaa

Ahmed Yaar Khan Naeemi
MORE BYAhmed Yaar Khan Naeemi
KHaak-e-madiina hotii mai.n KHaaksaar hotaa
hotii rah-e-madiina meraa Gubaar hotaa
aaqaa agar karam se taiba mujhe bulaate
rauza pe sadqa hotaa un par nisaar hotaa
vo bekaso.n ke aaqaa be-kas ko gar bulaate
kyuu.n sab kii Thokaro.n par pa.D kar vo KHaar hotaa
taiba me.n gar muyassar do gaz zamiin hotii
un ke qariib bastaa dil ko qaraar hotaa
mar miT ke KHuub lagtii miTTii mirii Thikaane
gar un kii rahguzar par meraa mazaar hotaa
ye aarzuu hai dil kii hotaa vo sabz-gumbad
aur mai.n Gubaar ban kar us par nisaar hotaa
bechain dil ko ab tak samjhaa-bujhaa ke rakkhaa
magar ab to us se aaqaa nahii.n intizaar hotaa
'saalik' hue ham un ke vo bhii hue hamaare
dil-e-muztarib ko lekin nahii.n e'tibaar hotaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.