ai sanam tujh pe hai.n qurbaa.n gul-o-aa.iinaa-o-shama'

Ghulam Imam Shaheed
MORE BYGhulam Imam Shaheed
ai sanam tujh pe hai.n qurbaa.n gul-o-aa.iinaa-o-shama'
hai.n tire ruKH se pashemaa.n gul-o-aa.iinaa-o-shama'
dekh KHandaa.n bhii hai.n hairaa.n bhii hai.n giryaa.n bhii hai.n
dekh kar suurat-e-jaanaa.n gul-o-aa.iinaa-o-shama'
bulbul-o-tuutii-o-parvaana nahii.n chaahte hai.n
tere hote hue ai jaa.n gul-o-aa.iinaa-o-shama'
'ishq me.n tere hue jaama se baahar aise
ke phiraa karte haiñ 'uryaa.n gul-o-aa.iinaa-o-shama'
ra.ng aur nuur-e-safaa laa.e hai.n tere ghar se
hai.n tire banda-e-ehsaa.n gul-o-aa.iinaa-o-shama'
saaf kahtaa huu.n kaho kis ke qalam se niklaa
is tarah dast-o-garebaa.n gul-o-aa.iinaa-o-shama'
merii kilk-o-Gazal-o-saf.ha-e-diivaa.n ko 'shahiid'
kahte hai.n saare suKHan-daa.n gul-o-aa.iinaa-o-shama'

- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 33)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.