ai zamii.n tujh par nuzuul-e-aasmaa.n hone ko hai

Syed Faizan Warsi
MORE BYSyed Faizan Warsi
Interesting Fact
بموقع جشنِ ولادتِ حضرت امام حسین۔
ai zamii.n tujh par nuzuul-e-aasmaa.n hone ko hai
goyaa nuur KHaaliq-e-'aalam ayaa.n hone ko hai
nayyar-e-burj-e-imaamat aa rahaa hai arz par
jis ke nuur-e-paak se raushan jahaa.n hone ko hai
pur-masarrat hai.n 'alii maulaa hasan 'azraa batuul
ab dil-e-kHaurul-bashar bhii shaadmaa.n hone ko hai
baaG ismat me.n khulii taaza kalii tathiir kii
us kii KHushbuu se mo.attar do-jahaa.n hone ko hai
aa rahe hai.n is jahaa.n me.n ban ke qindiil-e-nabii
faiz nuur-e-mustafaa sab ko rasaa.n hone ko hai
miT na paa.egaa jahaa.n se naam ab islaam kaa
ko.ii is diin KHudaa kā paasbaa.n hone ko hai
KHvaab ibraahiim kii ta.abiir ban kar aa.e hai.n
ab mukammal maqsad-e-paiGam-baraa.n hone ko hai
vo jise piine kii KHaatir gardisho.n me.n ri.nd the
haa.n vahii jaam-e-shahaadat ab ravaa.n hone ko hai
shaah tasliim-o-razaa vo hai.n imaam-e-'aashiqaa.n
sar-kHushaan-e-ishq kii mahfil javaa.n hone ko hai
khulne vaalii qismate.n hai.n saik.Do.n fitrus kii ab
ruunumaa jaan-e-masiihaa ab ya.nh hone ko hai
karbalaa pahu.nche hai.n ja.al-haq kaa maz.har ban ke vo
ab yaziidii naam benaam-o-nishaa.n hone ko hai
ab u.Degii dhajjiyaa.n har kufr aur taaGuut kii
taalib-e-bai.at kaa dil jal kar dhu.aa.n hone ko hai
ye asar adnaa-saa KHaadim hai husain-e-paak kaa
mad.h ke badle 'ataa us ko jinaa.n hone ko hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.