Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ai naadaan sambhal kar chal bharosa kyaa hai duniyaa kaa

Ali Ahmad

MORE BYAli Ahmad

    ai naadaan sambhal kar chal bharosa kyaa hai duniyaa kaa

    na tuu itnaa machal kar chal bharosa kyaa hai duniyaa kaa

    agar tuu 'aashiq-e-saadiq hai chho.D ab hind kaa rahnaa

    madiina ko nikal kar chal bharosa kyaa hai duniyaa kaa

    na bhuul itnaa tuu daulat par ye duniyaa jaa-e-faanii hai

    na tevar tuu badal kar chal bharosa kyaa hai duniyaa kaa

    hai ik dam qabr me.n jaanaa vohii ghar hai hamesha ko

    na tuu itnaa uchhal kar chal bharosa kyaa hai duniyaa

    na tuu jaahil se kar ulfat na tuu munkir se rakh raGbat

    jahaalat se nikal kar chal bharosa kyaa hai duniyaa kaa

    hu.aa hai nashsha Gaflat me.n kyuu.n sarshaar ai Gaafil

    sambhal kar chal sambhal kar chal bharosa kyaa hai duniyaa kaa

    hai daaman-giir ab shauq ziyaarat ai 'alii ahmad

    na chalne me.n KHalal kar chal bharosa kiyaa hai duniyaa kaa

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now