jab bhii fitrat se kisii kaa raabta ho jaa.egaa

us kaa chehra phuul jaisaa KHush-numaa ho jaa.egaa
un kii sohbat me.n bane.nge zarre rashk-e-aaftaab
mor-e-be-maaya sulaimaa.n duusraa ho jaa.egaa
be-navaa.o.n ke dahan me.n bhii vo rakh de.nge zabaa.n
gu.ng ko bhii fann-e-takallum kaa 'ataa ho jaa.egaa
fazl kaa ek aisaa ziina hai itaa.at shaah kii
jo chalaa siirat pe mahbuub-e-KHudaa ho jaa.egaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.