mere baabaa kii chaukhaT salaamat rahe
Interesting Fact
منقبت درشان بابا فریدالدین گنجِ شکر (پاک پٹن-پنجاب)
mere baabaa kii chaukhaT salaamat rahe
un par qurbaan husn-e-'aqiidat rahe
ham faqiiro.n kii sarkaar ko laaj hai
taa qayaamat ye jaarii saKHaavat rahe
bhiik do yaa na do ye KHushii aap kii
baat itnii hai ma.ngto.n kii 'izzat rahe
mastiyo.n me.n rahe Duubii hastii merii
kaif me.n Duubaa jazba-e-nisbat rahe
jis kii chaukhaT par qurbaan hai.n do jahaa.n
vo salaamat tiraa baab-e-jannat rahe
duruud dil me.n rahe naam lab par rahe
bas ye daulat tumhaarii badaulat rahe
ye 'amiir' aaj chaukhaT pe detaa sadaa
dil kii dil me.n ta.Daptii na hasrat rahe
mere baabaa kii chaukhaT salaamat rahe
un par qurbaan husn-e-'aqiidat rahe
ham faqiiro.n kii sarkaar ko laaj hai
taa qayaamat ye jaarii saKHaavat rahe
bhiik do yaa na do ye KHushii aap kii
baat itnii hai ma.ngto.n kii 'izzat rahe
mastiyo.n me.n rahe Duubii hastii merii
kaif me.n Duubaa jazba-e-nisbat rahe
jis kii chaukhaT par qurbaan hai.n do jahaa.n
vo salaamat tiraa baab-e-jannat rahe
duruud dil me.n rahe naam lab par rahe
bas ye daulat tumhaarii badaulat rahe
ye 'amiir' aaj chaukhaT pe detaa sadaa
dil kii dil me.n ta.Daptii na hasrat rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.