husn-e-zaat-e-kibriyaa kaa aa.iina kaliyar me.n hai

Ameer Bakhsh Sabri
MORE BYAmeer Bakhsh Sabri
Interesting Fact
منقبت در شان صابر پاک حضرت علی احمد (کلیر-اتراکھنڈ)
husn-e-zaat-e-kibriyaa kaa aa.iina kaliyar me.n hai
mustafaa taiba me.n 'aks-e-mustafaa kaliyar me.n hai
laaDlaa KHvaaja mu’iin kaa aur qutubuddiin kaa
dilbar-e-sarkaar-e-zuhd-ul-ambiyaa kaliyar me.n hai
jaan-e-jaanaan-e-paiGambar faatima kaa nuur-e-'ain
kHvaajgaan-e-chisht kaa duulhaa banaa kaliyar me.n hai
jholiyaa.n bhar lo faqiiro gauhar-e-maqsuud se
mamb'-e-juud-o-sakHaa bahr-e-'ataa kaliyar me.n hai
'aashiqo.n sajda namaaz-e-'ishq kaa hogaa vahaa.n
qibla-o-kaa’ba imaam-ul-auliaa kaliyar me.n hai
kHushk-zaahid kyaa KHabar tujh ko maqaam-e-'ishq kii
'aashiqo.n ke 'ishq kaa kaa'ba banaa kaliyar me.n hai
paas hai mujh ko sharii'at kaa 'amiir'-e-saabrii
varna kah duu.n saaf ki meraa KHudaa kaliyar me.n hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.