Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kyaa faiz faiz-e-'aam hai daataa huzuur kaa

Ameer Bakhsh Sabri

MORE BYAmeer Bakhsh Sabri

    Interesting Fact

    منقبت در شان داتا گنج بخش حضرت علی ہجویری (لاہور-پنجاب)

    kyaa faiz faiz-e-'aam hai daataa huzuur kaa

    chashma ubal rahaa hai mohammad ke nuur kaa

    daataa hii daataa chaar suu duniyaa pukaar uTThii

    jalva hai kamlii vaale ke nuur-o-zuhuur kaa

    hujvairii mai-kada hai tuu ajmer kaa saaqii

    kyaa daur chal rahaa hai sharaab-e-tahuur kaa

    KHvaaja mu'iin-o-ganj-e-shakar bhii hai.n jalva-gar

    kitnaa ba.Daa karam hai ye rabb-e-Gafuur kaa

    kuucha mire daataa kaa ye jannat se kam nahii.n

    gumbad hai 'ain gumbad-e-kHazraa huzuur kaa

    baada-kasho.n kii 'iid hai daataa ke dar pe aaj

    kyaa ra.ng hai cha.Dhaa hu.aa kaif-o-suruur kaa

    daataa 'amiir'-e-saabarii KHaalii na jaa.e aaj

    detaa hai vaasta ye mohammad ke nuur kaa

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now