rasuul-e-akram shafii'-e-'aalam KHudaa ko aaKHir manaa ke maane

Ameer Bakhsh Sabri
MORE BYAmeer Bakhsh Sabri
rasuul-e-akram shafii'-e-'aalam KHudaa ko aaKHir manaa ke maane
jo darmiyaa.n the duu.ii ke parde vo parde saare uThaa ke maane
ga.e jo me'araaj me.n mohammad najaat-e-ummat kaa KHayaal dekho
ki ek sajde me.n kamlii vaale KHudaa se sab kuchh manaa ke maane
tamaam 'aalam me.n hai ye shohraa ki murda zinda kiye hai.n 'iisaa
mere mohammad 'arab ke duulhaa hazaaro.n masiihaa banaa ke maane
vo nikle jis samt sair karne thaa saaya-e-nuur sar ke uupar
vo dasht-e-taiba kii vaadiyo.n ko fareb-e-jannat banaa ke maane
na maanaa abuu-jahl par na maanaa pa.Dhaa hai shajr-o-hajar ne kalma
terii nubuvvat ko yaa mohammad malak bhii gardan jhukaa ke maane
nabii hazaaro.n jahaa.n me.n aa.e magar ye qur.aan kah rahaa hai
jo aa.e durr-e-yatiim ho kar tamaam duniyaa pe chhaa ke maane
'amiir' jab mai.n suu-e-madiina ba-shoq-e-dil se hu.aa ravaana
qadam-qadam par hazaaro.n kaa'be banaane vaale banaa ke maane

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.