tere aastaane ko jii chaahtaa hai
tere aastaane ko jii chaahtaa hai
kahii.n bhii na jaane ko jii chaahtaa hai
duhaa.ii hai ai taajdaar-e-madiina
madiine me.n aane ko jii chaahtaa hai
bahut duur rakkhaa hai chashm-e-karam se
bahut paas aane ko jii chaahtaa hai
jahaa.n jalva-gar hai.n mohammad ke jalve
vahaa.n aane jaane ko jii chaahtaa hai
tajallii bhare sabz gumbad se yaa rab
ye aa.nkhe.n milaane ko jii chaahtaa hai
milaa hai muqaddar se vo aastaane
na ab sar uThaane ko jii chaahtaa hai
'amiir' aaj saaqii ne KHud kah diyaa hai
tujhe kuchh pilaane ko jii chaahtaa hai
tere aastaane ko jii chaahtaa hai
kahii.n bhii na jaane ko jii chaahtaa hai
duhaa.ii hai ai taajdaar-e-madiina
madiine me.n aane ko jii chaahtaa hai
bahut duur rakkhaa hai chashm-e-karam se
bahut paas aane ko jii chaahtaa hai
jahaa.n jalva-gar hai.n mohammad ke jalve
vahaa.n aane jaane ko jii chaahtaa hai
tajallii bhare sabz gumbad se yaa rab
ye aa.nkhe.n milaane ko jii chaahtaa hai
milaa hai muqaddar se vo aastaane
na ab sar uThaane ko jii chaahtaa hai
'amiir' aaj saaqii ne KHud kah diyaa hai
tujhe kuchh pilaane ko jii chaahtaa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.