madiina jin kaa maskan hai makiin-e-laa-makaa.n hai.n vo

Ameer Bakhsh Sabri
MORE BYAmeer Bakhsh Sabri
madiina jin kaa maskan hai makiin-e-laa-makaa.n hai.n vo
KHudaa hai raaz-daa.n un kaa KHudaa ke raaz-daa.n hai.n vo
unhii.n ke nuur se pur-nuur do 'aalam kii bastii hai
zuhuur-e-'ishq hai.n vo ziinat-e-husn-e-jahaa.n hai.n vo
KHudaa ne KHud hai farmaayaa merii saarii KHudaa.ii par
azal se mehrbaa.n Thahre abad tak mehrbaa.n hai.n vo
KHirad be-kaar hai un kii haqiiqat ko samajhne se
ki bahr-e-be-karaa.n hai.n vo nishaan-e-be-nishaa.n hai.n vo
vo laa-mahduud hai.n qaid-e-ta’ayyun me.n nahii.n rahte
bhalaa qudsii bhii kyaa samjhe.n ki kyaa hai.n vo kahaa.n hai.n vo
pate kii baat kahtaa huu.n samajh lo ye pata un kaa
jahaa.n par jalva-gar hai.n vo vahaa.n haq kii zabaa.n hai.n vo
'amiir'-e-saabrii chashm-e-basiirat se jo dekhaa tuu
yahaa.n hai.n vo vahaa.n hai.n vo 'ayaa.n hai.n vo nihaa.n hai.n vo

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.