ai baad-e-sabaa le chal darbaar-e-mohammad me.n

Ameer Bakhsh Sabri
MORE BYAmeer Bakhsh Sabri
ai baad-e-sabaa le chal darbaar-e-mohammad me.n
jo kahnaa hai kah duu.ngaa sarkaar-e-mohammad me.n
asraar nubuvvat ko qudrat hii samajhtii hai
tauhiid chamaktii hai guftaar-e-mohammad me.n
matvaale mohammad ke kahte hai.n sar-e-mahfil
diidaar-e-KHudaa hotaa diidaar-e-mohammad me.n
jis pe hai nazar Daalii taqdiir badal Daalii
ye baat nazar aa.ii mai-KHvaar-e-mohammad me.n
mar jaanaa hii jiinaa hai sarkaar ke qadmo.n me.n
ye baat Thanii dil me.n biimaar-e-mohammad me.n
us gumbad-e-kHazraa pe Daalii hai nazar jis dam
allaah ke jalve hai.n anvaar-e-mohammad me.n
pahu.nchaa to hu.aa charchaa aayaa hai madiina me.n 'amiir'
diivaana ko.ii pahu.nchaa darbaar-e-mohammad me.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.