'uruuj-e-sarvar-e-bat.haa to dekho
'uruuj-e-sarvar-e-bat.haa to dekho
kahaa.n banda kahaa.n maulaa to dekho
na hote aap to kuchh bhii na hotaa
'arab ke laa'l kaa honaa to dekho
do 'aalam ko munavvar kar gayaa hai
nabii ke husn kaa jalva to dekho
taqaazaa diid kaa karne se pahle
zaraa tum hausla apnaa to dekho
agar kuchh dekhne kii aarzuu hai
kisii kaa ho ke mar jaanaa to dekho
jabii.n sajde me.n hai gardan pe KHanjar
namaaz-e-'ishq kaa sajda to dekho
ko.ii chauthe falak pe rah gayaa hai
kisii kii manzil-e-israa to dekho
'amiir' saabarii par jo karam hai
bharaa kuuze me.n hai dariyaa to dekho
'uruuj-e-sarvar-e-bat.haa to dekho
kahaa.n banda kahaa.n maulaa to dekho
na hote aap to kuchh bhii na hotaa
'arab ke laa'l kaa honaa to dekho
do 'aalam ko munavvar kar gayaa hai
nabii ke husn kaa jalva to dekho
taqaazaa diid kaa karne se pahle
zaraa tum hausla apnaa to dekho
agar kuchh dekhne kii aarzuu hai
kisii kaa ho ke mar jaanaa to dekho
jabii.n sajde me.n hai gardan pe KHanjar
namaaz-e-'ishq kaa sajda to dekho
ko.ii chauthe falak pe rah gayaa hai
kisii kii manzil-e-israa to dekho
'amiir' saabarii par jo karam hai
bharaa kuuze me.n hai dariyaa to dekho
- Book : Kalaam-e-Ameer Sabri (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.