prem ke bas bhagvaan tumhii.n ho
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
prem ke bas bhagvaan tumhii.n ho
diin-o-dharam iimaan tumhii.n ho
kHvaaja-e-'usmaa.n ke raaj-dulaare
hind-e-valii sultaan tumhii.n ho
tan man dhan sab tum par vaaruu.n
is paapan kii aan tumhii.n ho
kaa'ba tumhii.n ho qibla tumhii.n ho
jo kuchh ho ai jaan tumhii.n ho
ghar-ghar me.n ajmerii duulhaa
chisth nagar kii shaan tumhii.n ho
bichiyaa ke kaaran aa.ii bhikaaran
daan karo bhagvaan tumhii.n ho
KHvaaja 'amiir' pe najar-e-dayaa ho
aan tumhii.n ho maan tumhii.n ho
prem ke bas bhagvaan tumhii.n ho
diin-o-dharam iimaan tumhii.n ho
kHvaaja-e-'usmaa.n ke raaj-dulaare
hind-e-valii sultaan tumhii.n ho
tan man dhan sab tum par vaaruu.n
is paapan kii aan tumhii.n ho
kaa'ba tumhii.n ho qibla tumhii.n ho
jo kuchh ho ai jaan tumhii.n ho
ghar-ghar me.n ajmerii duulhaa
chisth nagar kii shaan tumhii.n ho
bichiyaa ke kaaran aa.ii bhikaaran
daan karo bhagvaan tumhii.n ho
KHvaaja 'amiir' pe najar-e-dayaa ho
aan tumhii.n ho maan tumhii.n ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.