jis ke aage maa.nd hai duniyaa kaa saamaan-e-jamaal

Ameer Hamza Nizami
MORE BYAmeer Hamza Nizami
jis ke aage maa.nd hai duniyaa kaa saamaan-e-jamaal
us habiib-e-rab par hai.n qurbaan shaahaan-e-jamaal
huur-o-Gilmaan-o-qamar KHurshed aur jinn-o-bashar
dekh kar hairaa.n ruKH-e-anvar kii hai.n shaan-e-jamaal
husn-e-suruur ke tasadduq hai ye husn-e-kaa.enaat
chahchahaa kar kah rahe hai.n 'andaliibaan-e-jamaal
zaa.er-e-taiba kii aa.nkhe.n dekhtii hai.n baar-baar
pur-ziyaa pur-kaif hai un kaa gulistaan-e-jamaal
garmii-e-mahshar se jab bechain ho.nge ummatii
abr ban kar chhaa.e.nge gesuu-e-sultaan-e-jamaal
husn vaale dekh kar hai.n rashk-e-farzaana huzuur
kah rahe hai.n ham pe barse nuurii baaraan-e-jamaal
tujh ko paanaa hai agar sadqa 'nizaamii' husn kaa
phir madiina chal vo hai rashk-e-shabistaan-e-jamaal

- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 222)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.